Kya see you later bhai?
Roz to dikhta hai?
Roz kuch na kuch sunte hain
Fir kya see you later?
Main toot jaata hun re
Jaise, koi ghada hun
Koi ghada jisme dher saare
Jazbaat thoos deti hai ye duniya
Har baar toot ta hun
Fir khud ko samet ta hun
Fir thodi si zyada jagah banata hun
Taaki thoda aur seh sakun
Par gham ki kami thodi hai
Iss khoobsurat jahaan me?
Toh, fir bhar jaata hun
Fir seh leta hun, aur fir toot jaata hun
Ye kya hai, kabhi samajh nahi paata main
Kabhi khushi se fail jaata hun
Jaise jannat me kadam rakh liya ho
Toh kabhi simat jaata hun
Kya hai ye?
Muskura ke milta hun sabse
Par parchaai me pata nahi
Kyun gham ki nishaani rehti hai
Jab baith ke sochta hun
Toh lagta hai, kis baat ka gham?
Kis baat ka afsos?
Iss sab ko toh galey laga liya tha na?
Fir bhi kyun
Aadat padne ke baad bhi
Tanhai chubhti hai
Dard ki aadat toh pad jaati hai
Par iska matlab ye toh nahi ki
Dard mehsoos hi na ho?
Rota nahi hun
Har baar jab kehta hun
Ki aansuon ke rang se rang diye hain panne
Par ashk dikhte nahin
Iska matlab ye bhi toh nahi
Ki aankhein roti nahin
Na jaane kya samajhte hain wo
Jo hamari nazro'n me bhi khot dekh lеte hain
Zindagi halke se kеh jaati hai
Wafa karke tanhaai se aazadi nahi milti. :)
Nahi milti bhai
Roz to dikhta hai?
Roz kuch na kuch sunte hain
Fir kya see you later?
Main toot jaata hun re
Jaise, koi ghada hun
Koi ghada jisme dher saare
Jazbaat thoos deti hai ye duniya
Har baar toot ta hun
Fir khud ko samet ta hun
Fir thodi si zyada jagah banata hun
Taaki thoda aur seh sakun
Par gham ki kami thodi hai
Iss khoobsurat jahaan me?
Toh, fir bhar jaata hun
Fir seh leta hun, aur fir toot jaata hun
Ye kya hai, kabhi samajh nahi paata main
Kabhi khushi se fail jaata hun
Jaise jannat me kadam rakh liya ho
Toh kabhi simat jaata hun
Kya hai ye?
Muskura ke milta hun sabse
Par parchaai me pata nahi
Kyun gham ki nishaani rehti hai
Jab baith ke sochta hun
Toh lagta hai, kis baat ka gham?
Kis baat ka afsos?
Iss sab ko toh galey laga liya tha na?
Fir bhi kyun
Aadat padne ke baad bhi
Tanhai chubhti hai
Dard ki aadat toh pad jaati hai
Par iska matlab ye toh nahi ki
Dard mehsoos hi na ho?
Rota nahi hun
Har baar jab kehta hun
Ki aansuon ke rang se rang diye hain panne
Par ashk dikhte nahin
Iska matlab ye bhi toh nahi
Ki aankhein roti nahin
Na jaane kya samajhte hain wo
Jo hamari nazro'n me bhi khot dekh lеte hain
Zindagi halke se kеh jaati hai
Wafa karke tanhaai se aazadi nahi milti. :)
Nahi milti bhai
( BLOBHIT )
www.ChordsAZ.com