Song: Darbadar
Artist:  Saad Khan
Year: 2021
Viewed: 47 - Published at: 8 years ago

[Verse]
Tere sath tha main warna tu akeli thi
Ye jaante hue bhi mere jazbaat se kheli thi
Tujhe samajh na saka jese tu paheli thi
Ab aesa lagta jese bewafai hi saheli meri

Haveli sa ye dil jismein bas tu basti thi
Par tu kiraedar ye na teri basti thi
Hasti thi jab main rota tab tu hasti thi
Main tera na tha dushman jaana par tu ne shikast de di

Teri yaadon ko main jana chahta bhool
Par khushbu nahi bhoole jiski haan tu wohi phool
Zindagi mein lekar chala tha asool
Kafi torhe tunay phir bhi kiya tha tujhe kubool

Par ab na maangun aasra, Ab koi bachi aas na
Izzat di thi khaas haan par aai tujhe raas na
Chehre pe hasi jese hua hoon udaas na
Tu daghadar hai par tujhse phir bhi main naraz na
Raasta khoya phirta darbadar musafir ye
Likhta apna dard dunya hoti phir mutasir ye
Nafrat aur pyaar karta logon se hasil ye
Kuch k liye raahbar kuch k liye bana kafir ye

Par hazir hoon main aaj lekar dard e dil k falsafay
Rukta na ye kalam jab bhi likhta deta bhar safay
Shayari se meri unke dil mein mere ghar banay
Wo loag jo thay haare bethe, sunke uthay chal parhay

Barhay daaway par asal mein farebi
Yahan ghair dete sath dagha de jaate kareebi
Ghareebi mein anjaan jo note jurhne chaar
Bankay bhai tere sath par hogi phir daketi

Sach pe mabni ye shayari hakeekat hai
Tujhe andaza nai in lafzon ki kya qeemat hai
Ab is dil ki khali kothi si hesiyat
Jiski mehfilon ki hua ka rti thi tu kabhi zeenat

Ab minnaten samaajen jaana mujhse hoti nai hein haan
Raat bhar jaagun meri aankhen soti nai hein haan
Roti nai hein lekin khushiyan piroti nai
In zakhmon pe tu hasti jaana choten dil ki choti nai hein

( Saad Khan )
www.ChordsAZ.com

TAGS :