Song: DHOKA
Artist:  Rv Vegeta
Year: 2021
Viewed: 69 - Published at: 4 years ago

[Verse 1]
Abhi tak farak nahi padra tha
Mai jaara hun kidhar
Khushi ka pata dhoondhne nikla tha
Ab raha hun bhatak

Mujhe kuch samajh nahi aara ye sab kya ho raha hai
Bas chinra tha sab kuch jo hai kamaya abhi tak
Saath jo khade the wo log durr jaa rahe hai
Aankho me dekhte nahi the ab ye ghoore jaa rahe hai
Mai dera tha sab kuch fir bhi kyun ye chine jaa rahe hai

Mai tha bikne ko taiyaar fir ye lootna chah rahe hai

[Chorus]
Dhoka hua hai mere saath
Dhoka hua
Dhoka hua hai nakab sabne ohda hua

[Verse 2]
Vishwas kyun tha karna jab saamne dhokebaaz hai
Dhirtrastra chakshu heen aur sabha saari laachar hai
Tha duryodhan adharmi par yudhisthira ko kyun naaj hai
Dharam gyatao ka fayda kya jab adharmiyo ka raaz hai
Khair mai bhi dosh kisko dun
Jab khud mai hi madhosh tha
Jaldi nikalta ghar se lekin
Late aana tha mera roz ka

Thos iraade nahi the aur na jeetne ka josh tha
Maa ke aansuon ka karz hai rakha seene pe bojh sa

Maa ka karz

Unchaiyon ka shock haan, par girne ko taiyaar nahi
Haan, sahi karna tha sab kuch par mehnt pe mera dhyan nahi
Shresth banne ki spardha me ek part mujhse chuth gaya
Shresth nahi bano uttam mai radhe ki baat kyun bhool gaya

Ab jeet hi mera lakshya hai
Neki pe mera dhyaan nahi
Cheen ke lunga sab kuch mai chhodunga ye brahamand nahi
Dhoka diya jo tumne to maut dumga samaan nahi

Ab jaag gya jo andar mai vegeta bhagwan nahi

Mere saath koi nahi tha ab saath me hoga zamana
Kehte hai mere haath me jeet ki lakeer nahi
Aur jo ye lakeere na badal di maine mere haatho ki
Toh mujhe btana
[Amitabh's Voice Sample]
Badla lena har baar sahi nahi hota
Lekin maaf kr dena bhi har baar sahi nahi hota

( Rv Vegeta )
www.ChordsAZ.com

TAGS :