Song: Jinhe Naaz Hai Hind Par
Year: 1957
Viewed: 17 - Published at: 10 months ago

Ye kooche ye nilaam
Ghar dilkashi ke
Ye kooche ye nilaam
Ghar dilkashi ke
Ye lutate huye
Caaravan zindagi ke
Kahaan hain kahan hain
Muhafiz khudi ke
Jinhe naaz hai hind
Par wo kahaan hai
Kahaan hain kahaan
Hain kahaan hain


Ye purpech galiyaan
Ye badnaam bazaar
Ye gumnaam raahi
Ye sikkon ki jhankaar
Ye ismat ke saude
Ye saanson ke taqraar
Jinhe naaz hai hind
Par wo kahaan hai
Kahaan hain kahaan
Hain kahaan hain

Ye sadiyon se bekhauf
Sehmi si galiyaan
Ye masli huyi adhkhili
Zard kaliyaan
Ye bikti huyi khokhli
Rangraliyaan
Jinhen naaz hai hind
Par wo kahaan hain
Kahaan hain kahaan
Hain kahaan hain


Wo ujle darichon mein
Paayal ki chhan chhan
Thaki haari saanson
Pe table ki dhandhan
Wo ujle darichon mein
Paayal ki chhan chhan
Thaki haari saanson
Pe table ki dhandhan
Ye berooh kamron me
Khaansi ki thanthan
Jinhe naaz hai hind
Par wo kahaan hai
Kahaan hain kahaan
Hain kahaan hain

Ye phoolon ke gajre
Ye pikon ke chhinte
Ye bebaak nazren
Ye gustaakh fiqre
Ye dhalke badan aur
Ye bimar chehre
Jinhen naaz hai hind
Par wo kahaan hai
Kahaan hain kahaan
Hain kahaan hain


Yahaan pir bhi aa chuke
Hain jawaan bhi
Tanomand bete bhi ha ha
Abbaa miyaan bhi
Ye biwi bhi hai
Ye biwi bhi hai aur
Behan bhi hai maan bhi
Jinhe naaz hai hind
Par wo kahaan hain
Kahaan hain kahaan
Hain kahaan hain

Madad chaahti hai
Ye hawwa ki beti
Yashoda ki hamjins
Radha ki beti
Madad chaahti hai
Ye hawwa ki beti
Yashoda ki hamjins
Radha ki beti
Payambar ki ummat
Jule khan ki beti
Jinhe naaz hai hind
Par wo kahaan hain
Kahaan hain kahaan
Hain kahaan hain


Zara mulk ke
Rahbaron ko bulaao
Ye kooche ye galiyaan
Ye manzhar dikhaao
Jinhe naaz hai hind
Par unko laao
Jinhe naaz hai hind
Par wo kahaan hai
Kahaan hain kahaan
Hain kahaan hain

( Mohammed Rafi )
www.ChordsAZ.com

TAGS :