Song: Khasiyat
Artist:  HashT@g
Year: 2021
Viewed: 48 - Published at: 9 years ago

Bete mai hun khass
Khud pe hai naz
Alag meri sonch
Mere alag alfaaz
Jaise johri
Khudko raha tarash
Traas nahi deta
Seedha leta hun mai class

Bete mai hun khass
Khud pe hai naz
Alag meri sonch
Mere alag alfaaz
Jaise johri
Khudko raha tarash
Traas nahi deta
Seedha leta hun mai class

11 saal ka tha
Pehli baar jab rap kiya
Aaj tak jo bhi kiya
Tere bhai ne sab fab kiya
Clap kiya
Mai jab bhi hota feel me
Jo de rhe the dhoka
Unhi ko backstab kiya

Ek samay tha
Jab koi na tha santh me
Jab koi nai tha santh me
Aai kalam mere hanth me
Ab kalam aai hanth me
Toh sab chhod diya
Sab rakha maine dheela
Sirf hip hop me zor diya
Indoor kiya struggle
Tabhi outdoor me score diya
Khudko sikhaya maine
Khudko mentor kiya
Kamron me band hokar
Khudko explore kiya
Shabdon se bhigake khudko
Panno pe nichod diya


Chhote se pyaar
Aur badon ka samman karte
Samasya chahe kaesi bhi ho
Sabka samadhan karte
Apne kalam se hi
Bhavishya ka nirmaan karte
Quantity rakhte kum
Quality wala kaam karte
Mic se lagaaw
Hip-Hop ko pranaam karte
Kathor dil se vasulte
Aur khule dil se daan karte
Baatein seedhi
Samaj ko benakab karde
Aage se ki ungli toh
Pura inteqam karte

Umar chhoti
Tajurba bahut hai
Din raat hum bajre
Han urja bahut hai
Yeto shuruwat hai
Abhi udna bahut hai
Thoda seedha rasta zindagi ka
Mudna bahut hai
Hum mud mud ke chal re hai
Jo sadte woh jalre
Jalne wale ko bhaw nai
Hum bhi apni akad me
Flow apna hard hai
Hum Hip-Hop ke pakad me
Pairon me hai bediyan hum
Phir bhi aage badh re hai


Bete mai hun khaas
Khud pe hai naz
Alag meri sonch
Mere alag alfaaz
Jaise johri
Khudko raha tarash
Traas nahi deta
Seedha leta hun mai class
Bete mai hun khaas
Khud pe hai naz
Alag meri sonch
Mere alag alfaaz
Jaise johri
Khudko raha tarash
Traas nahi deta
Seedha leta hun mai class


Jo bhi kiya sab
Kiya apne hanthon se
Aage badh chuka ab
Sare rishte naton se
Nikhre hum raton me
Sach meri baton me
Phul se khilte kyunki
Chalte hum katon me
Katon me chale
Phir bhi girte nahi
Thokar kitne bhi khae
Hum hilte nahi
Sabka hai daam
Muft cheezen yahan milti nahi
Shabdon se hard
Batein meri milky nahi


Sab samajhdar
Par koi zimmedar nahi
Bolte bahut kuchh
Par kaam dumdaar nahi
Wafadari pe sawal uthae
Aisa mera parivar nahi
Zeb me note kam hai
Par mai shabdon se lachar nahi
Jinke jeb jyada hi bhari
Hote woh giraftaar nahi
Sab karte seena thok ke
Hote hum tadipaar nahi
Seedha shanghar karte
Karte hum shringar nahi
Dil kabhi na toda
Bewafai wala pyaar nahi


Bina patwar ke
Hoti nao yahan paar nahi
Bete ko de di car
Diya usse sanskar nahi
Sub on bills bete
Lete hum udhar nai
Thrust worthy kaam
Dhoke karobar nahi
Har din kari mehnat
Ek din wala chamatkar nahi
Flow jaise pani
Par badalta aakar nahi
High inke demands
Par unche inke vichaar nahi
Mere jaisa na likh paega
Tu sachcha kalamkar nahi

Bete mai hun khaas
Khud pe hai naz
Alag meri sonch
Mere alag alfaaz
Jaise johri
Khudko raha tarash
Traas nahi deta
Seedha leta hun mai class

Bete mai hun khaas
Khud pe hai naz
Alag meri sonch
Mere alag alfaaz
Jaise johri
Khudko raha tarash
Traas nahi deta
Seedha leta hun mai class

( HashT@g )
www.ChordsAZ.com

TAGS :