Song: Khwaabon Ki Duniya
Artist:  Xponent B
Year: 2021
Viewed: 25 - Published at: 4 years ago

[Intro]
Xponent B
Ye meri zindagi ek sach nahi jhootha sa hai khwaab
You Good? Na
Bas kuch dil ki baatein karne ka mann kar raha tha
Haan suno, I am dark

[Verse 1]
Aaj likha maine khud ko paighaam ek
Lage ilzaam dil pe dafa fake
Band qaidi maangu rabb se rihaai main
Paak saaf shaan meri khud se ladaai dekh
Ye tatkal khud se hi maang hai
Aakaal maut jaane kis raah hai
Hosh gum rahu khud se hai baatein meri
Ye geet nahi mere dil ki awaaz hai
Raag saaj baje mere dil aur dimaag mein
Sur taal se hi raha sada anjaan main
Jo likhu sab rabb ki hai den mujhe
Jo bane sangeet usme bhi tera haath hai
Ye naam se hi bani pehchaan teri
Gaane kam aur hui bohot maana deri
Tu khud sang khudi vishwas hai
Har ik pal mein hi likha ehsaas hai !!
[Chorus]
Dil, jo khudse naraaz hai
Mil, wahaan jahaan insaaf hai
Nil, mere khwaabon ki duniya hai
Kaise manaya ye jaane zamana na !! x2

[Interlude]
Jaane zamana na
Jaane zamana na

[Verse 2]
Padha maine jab mere us khat ko
Jahaan soch meri bhaari us lat ko
Jaanu khudko ke kaise sambhala hai
Jaha main haara wahin dekhe zamana hai
Ab kam gham lage saare rang namm mujhe
Beeti baatein raaton ko kyu kare ab tang mujhe?
Kya khushiyan?
Kya mila sukoon?
Ye samajh na aaya kya hota hai junoon?
Yaha paise ki ameeri dilwale ki garibi
Chaar paanch saath mile jaise jholi me rafiqi
Meri kismat taake raah manzil gum
Tera samay aaya na kar mehnat tu
Ab likhu behisaab mere gham hai inaam
Meri zindagi sach ik jhoota sa hi khwab
Ye karte hai log baatein mithi na khari
Yahaan kaaton bhari raah meri jaan pe bani kyun?
[Chorus]
Dil, jo khudse naraaz hai
Mil, wahaan jahaan insaaf hai
Nil, mere khwaabon ki duniya hai
Kaise manaya ye jaane zamana na !! x2

[Outro]
Jaane zamana na
Jaane zamana na
Ye meri zindagi ek sach nahi jhootha sa hai khwaab
Xponent B, I am dark !!

( Xponent B )
www.ChordsAZ.com

TAGS :