Song: LUGHAT - FREEVERSE | Abdullah RogueE | ShadeedUrduRap
Year: 2021
Viewed: 76 - Published at: 10 years ago

Mulahiza farmaen meri kalakari pe (meri kalakaari pe ghor kren)
Muraqba ha mera chuttuon ki funkari pe (chutiye log jo mere sath funkariyan laga rhe hen unki fankarion se mujhe farq ni parta mere L pe thand ha)
Nakaami pe ye razamand Narazgi kameyabi pe (mere failure pe wo khush hen lekin success me udaas/naraaz hojate hen)
Safarti logo ke gund Dafatiri majalis me (ye log jhund me aake gund phelate hen hen magar ye logane jaane wali cheezen hen ye tik ni payen ge mere samne)(dafatiri majalis Official Groups)

Larne wale lar jate Kaghaz ke jahaz pe mahaz tak (agar jazba ho to larne wale kisi hi soorat me lar jate hen)
Par aj tk hum dathay paray couch pr bora band (lekin hum abhi bhi bistar/sofa/couch pe pare hue hen jese koi bori ho)
Zindagi dora the explorer andha qanoon andha pyar (zindagi dora the explorer means dora ko kuch ni dikhta or kahawat ha ke pyar or qanoon dono andhe hote hen just like the andhi DORA)
Iraday unchay lekin nashta bistar pe laa chal (hum iraday to boht upar ke rakhte hen lekin itne sust hen ke naashta bhi bistar pe chahiye)

Mere anchal ke andar ek ansuon ka abshaar (me andar se ansuon se bhara hua hun)
Samaaj ke maateht mu pe hassi ye lawazmaat (lekin is society ki waja se bas mu pe fake hassi ha mere)
Mizaaj me hi meher mera kisi se na Sawalaat (me dil ka boht acha/MEHRbaan hun kisise sawaal ni krta just accept kr leta hun logon ki baaton ko)
Samachar afwaah mera aaj vichaar kal ka nabataat (SAMACHAAR means news...Ye news asal me afwaahen hen...lekin me jo aaj sochta hun wo kal sach me hojata ha...jo me aaj kar rha hun wo kal ko meri waja se duniya ko boht asaan lagay ga cuz im the inventor...invention mushkil hoti ha lekin us cheez ko dobara bana asaan hota ha)
Sawaalat pe sawalat me paas ni jawabat (achay sawaal hen ye 32 hazaar lekin phir bhi jawaab ni mere kol)

Me shama hun parwano ko jugnu bana du (Me ek roshni hun jis ke paas keerian ajaen to wo jugnu ban jati hen yaani mujh se faida utha leti hen)
Nikama tu bas libaason se ertugrul bana tu (tum bahadur bante to ho jese koi ertugrul lekin tum sirf uski jesi dressing kr rhe ho, us jese ni ho)
Ghana jungle ha or usme khel rhe sab stapu (ghana jungle ha yaani boht bari duniya ha tum kaam kaaj dhund skte ho bari asaani se boht kaam hen duniya me lekin phir bhi tum stapu khel rhe ho yaani time waste kr rhe ho)
Usi shama se raah dikhaun ya me aag laga dun (me jis roshni se logon ko faida de rha hun wo aag se bani ha to meri marzi ke me us aag se hone wali roshni me is ghannay jungle me tum raastay dikha dun ya tumhe hi jalaa dun...jo loyal rahe ga unko raste dikhaun ga jo munafiq ho ga usko jala dun ga)
Me desperate sher jese predator on prey (me sher hun mujhse mat bhirna...sher bakrian/G.O.A.T khata ha to sher predator, bakrian prey)
Like a massacre gaze (jese kaatilana nigaahen)
Pray for you master like eminem to dre (apne ustaad ki qadar kro jese eminem dre ki karta ha matlb log ab eminem ko to jaante hen but koi bhi Dr.dre ko ni jaante)(Dr. Dre Eminem's Producer)
I got enemies ambassadors on second invasion (Mere dushman apne Qabeele ke sardar hen yaani wo apni audience ke ke liye badshah hen...me ne unko ek baar maar diya tha or wo ab doosri baar hamla krne agaye hen)

South Asian khoon mere lavish hen strains (lavish hen starins yaani mere Shahaana zakham hen jo kisi ne aaj tk ni dekhen honge)
Outrageous goons made a massive mistakes (outrageous shar-pasand, Goons kam akal/khatarnaak log jo mujhe maarne ke liye hire kiye gaye thay unho ne bhi ek bari ghalti kr ke ek loose end chor diya ha mere liye or ab mere se ni bavchen ge wo)
Zindagi hilariously hallucinating variously (zindagi alag alag mazahiya tareeqe se dhoke de rhi ha)
Lucy kutte manipulating (upar se ye industry ke lucy kutte hume manipulate bhi krne me lagay hue hen)
Barricading cadence so that legislation wasted (or unki manipulations ki waja se jo asal art ha uspe bandish ho rhi ha or asal art zaya horhi ha)

Ye kashmakash ha nested loop si (Nested loop is a Programming term jisme ek kaam ko bar bar krne ke liye loops lagaye jate hen)
If tak to theek me else pe fucked up (A type of loop IF/Else loop...programming krte hue me IF wala kaam to krleta hun lekin jab Else wala kaam ata ha to mere se wo ni kiya jaata...basically ye parhai mere bas me ni ha mujhe apni art pe focus krna ha)
Ye shashke mast hen pr mashken maslehat asle mastak labte mantaq (flex to boht ha lekin asal khel pratice ha...practice se hi insaan ko kaam krna ata ha sahi se)
Ye verses unthaq hum na sune bakbak (mere verses kabhi ni khatam ho skte me kabhi ni thakta inko likhte waqt or isi liye mere ganay boht lambay hojate hen jis pe log bakwas krte hen ke chota rakha kro kiun ke unhe samaj hi ni aati kisi baat ki....magar me unki bakwaas ek kaan se sun ke doosre se nikaal deta hun)
Or nasso me akkar or samne sup sup (logon mu pe meethay bante hen lekin peeth peechay khaar khaate hen mujh se)

To akkar pakar bamboo lo ( akkar bakkar bambay bo---akkarh pakar babboo lo yaani to ghussa kha rha ha meri taraf se bamboo le)
Akal pakar landu log (tu lund insaa ha abhi bhi waqt ha aqal kr le thori si)

Khod di khundak pr roshni multavi (me ne huslt kr kr ke apni kabar tk khol di lekin abhi tk mujhpe logo ki nazar/roshni ni par rhi late/multavi hogai ha)
Ye jhaankte qul tak phir daal den phul jari (log boht sagay bante hen lekin agar aaj me mara to ye bhool jayen ge yaani they dont care about artist they just care about their art jis ko dekh ke wo enjoy kr saken...yahan qaddar na art ki ha na artist ki)
Khaal den sunat me riwaaj hen mushtamil (Lo me mar gaya ab meri khaal utaar ke riwaaj or apne faide ke liye masjid me de do kiun ke me mara ni hun me ne qurbaani di ha apni)
Laalchi murtad ki laash kr muntaqil (murtadgunaahgaar)(yaani laalchi log jo sirf apna faida dekhte hen unki qabar hamare sath ni banni chahiye)

Farsi bol dun har alfaaz hen masnavi (masnavi ek sher me 2 rhymings)(meri har line rhymings se bhari hoti ha)
Atif aslam ni dimagh se faris shafi (Me sur ni lagata dimaagh lagata hun apne lyrics me)
Selfie pose na du me star ni dumb khassi (Log kehte hen ke mujhe selfie bhi ni leni aati wo is liye kiun ke me role model hun tumara TV wala model ni)
Sunsuni machi kal ka scene ghaseet (har taraf sansani machi hui ha kiun ke log garhay murdhay ukharne ke boht shoqeen hen larai kabhi khatam hi ni hoti)
Lalkaren ni bhai lu custody me feel (tum mujh pe case bhi kr do tb bhi mere L pe thand ha tb bhi me mazay mazay me hi tumari lelun ga)
Askari mizaaj rusty si gharyaal (baap army se retired to askari mizaaj ha mera yaani foji ke bachon wala mizaaj ha mera me boht sakoon se betha hun jab ke mujhhe khud mehnat kr ke apne pairon pe khara hona chahiye kab tk baap ke sahare chalun ga lekin rusty gharyaal yaani meri ghari yaani mera waqt boht bura chal rha ha jese zung laga ho uspe)
Engineer bana to mistri bula (Me engineer bhi ban gya to tu jalta hi rhe ga paindu or mujhe mistri bulaye ga)
Lashkari mishaal karen miraal halal (Me apni platoon yani laskar ki mishaal hun yaani apne sath wale sab ko raah dikhata hun chahay khud agay na barh paun bakion ko charhawa deta hun)
Mustaqeem sirat seerhi bane miraaj (siraat e musqeem seedhi raah...me jo raah dikhata hun wo hamesha seedhi wali raah hoti ha)

Ye pahaar se karakoram (mere lafz boht bhaari or unchay hen jese karakoram ke pahaar)
Ye kaam mera Curricilam (ye rap krna me side business ni ha ye main crriculam kaam ha mera)
Chale kalam jale safhay talay zakham (jab mera kalam chalta ha to me aksar khudi ko dukhi kr leta hun itni sachai hoti ha usme)
Bharen charas na bay sharam (hum charsen ni bharte to hum besharam ni hen)

Karam ha khuda ka
Khudara me sara ka sara pachtawon ka mara
Qaraz ha zawaal ka mazaak ni 3 saal lga (Me ne 3 saal mehnat ki ha lekin us mehnat ka silla ni mila mujhe aaj tk to zawaal ka dar rehta ha hamesha)

Me saalo saal se saaqit (Me aagay hi ni barh paa rh saalo saal se)
Masaah masaanh me scuffing (eriyan ragar ragar ke chal rha hun boht mushkil se)
Saaah phasa mujhe saabara (sutta phoonk phoonk ke sans kharab ho gya ha lekin mujhme sabar ha abhi bhi)
Laapata na munafiq (Me lapata hun lekin munafiq ni)

Munasib waqt pe koi sabit qadam ni (kaam ke waqt koi dost nazar hi ni ata)
Fanyati Khalal cuz khaalis aqal ni (inke technical issues hen kiun ke they are not loyal)
Nazareen e karami Na haaji na kaafir
Judging kr haraami me phoru teri naqseer (Mujhe unse nafrat ha jo mujhe har baat pe judge krte hen)

Nasreen me nazaaqat naam ka matlb Jungli gulaab
Kaante bhi khomp liye khud me janab (The girl I like usme boht nazaaqat ha boht khoobsoorat ha jese koi gulaab ka phool magar gulaab ke phool me to kaante hote hen jo k me ne khudi khud ko chuba liye hen us larki ko pasand kr ke)
Sulaghti aag me sungte jaraab (Log ghum me nashay krte hen)
Or julab tere mu me aap karden fasaad (or ghusse me fasaad)

Fasaqadi naqasi ko chaarh den aap phansi (fsaad krne wale kisi ke saggay ni hen inko phaansi pe latka dena chahiye)
Malal hi malal ha medan me khilar lo ghada or danda ni kiya tu bana ni banda tu (me apne kaam me magan hun lekin log har kaam me bilawaja taang krte hen or tb tk ni taang hatate jab tk unko danda na de diya jaye so dont fck with me ni to danda de dun ga me)
Badam ni kha tu pathaano ke pas or rakaabi me rakha hua khaar maqafat (Tumhari nin harkato ki waja se me ne tumari rakaabi plate me khaar yaani dushmani rakh di ha, mukafaat karma)

Mukhafaf mushakat muzamat ko putto tum (Mukhafaf mere mushkil alfaaz, Mushakat Meri hustle, Muzammat meri hamdardi ka andaza lagao tum)
Alfaazon ko kaat ke paa dun me kutto ko (lafz ese breadown kr ke diliver krta hun jese kaat ke kutton ko daaliye hon yaani mere rivals ko me apne lafz deta hun)
Laaton ko bhooton ko paa dun me rassi
Takazon me qazi nu kad do eh marsi

Takashi v marsi no mercy normie simp
Johny sin ki nursen just weakening these naslen
Ye likh dete nasren hum ghazlen moseeqe me phas gaye (inko lines tk sai likhni aati ni or humse larne chale hen ye or hum pro hen)
Yahan schemen hi ni muk rhin (meri rhyme scheme kabhi ni muk sakti me taras kha ke rok deta hun)
Hum cheeni ni phuk rhe (hum meethay ni hen)
Ye geele ni suk rhe (log mere ganay sun ke geele/wet hojate hen)
Hum dealer ni fukray/phoonk rhe

Or sugran ke nuskhe hum subha ni uthte
Pr uthte to tere jese beh jate muth me
Hum lut gaye lut gaye meri khul gai kabaz
Feeling urti urti urti urti patang

Bas yar khatam



Likhu Freestyle i dont ceasefire
Mile peace of mind im mareez man
These guys busy spying me freefire
Se freezed spines krun tear apart

Nashte me khaun lughat (me jis hisaab se likhta hun mujhe lagta ha jese me naashte me vocalbulary khata hun)
Raste me thi Chaun dhoop ab (mere raste me chaun hoti thi lekin ab dhoop ha yaani bura waqt aya hua ha ajkal)
Nastik hun zabaan se (me jese zabaan se aetheist hun me rhyme krne ke liye koi bhi language bol skta hun)
Lafzon se karun shaolin jab (lafzon se shaolin yani jab me lafzon se khelta hun or ye rap likhta hun to me laguage pe ghor ni krta (jese me koi aetheist hun) bas rhyme scheme achi banni chahiye)

( AbdullahRogueE )
www.ChordsAZ.com

TAGS :