Song: Noori
Artist:  Manas Taneja
Year: 2021
Viewed: 29 - Published at: 2 years ago

Verse 1 -
Haaaan maana main galat
Par Kya tum sahi?
Raaz aakhir kaisa yeh
Jo hum khudke aaj saath nahi?

Ruka hun main
Na jaane kis abb raah mein?
Na jaane kisko pata
Kya kehna baaki hai, palkon mein?

Pre chorus -
Par dhundho toh miljaunga
Aakhir wahi Hoon main khada
Kahi Marr jaaun toh, na ghabrana
Rahunga bandh yahi main sada

Chorus -
Noori, kaisi saazish h yeh
Zamaane ka kya hi darr abb humein
Piharwa mere, likhde ek khatt mujhe
Haan Piharwa mere, karde azaad mujhe
Verse 2 -
Khudse, main poochu, na jaane kitni dafa
Aakhir mujhse, Kya Hui hai, anjaane mein aisi khata?
Heeriye, kuch baatein unkahi hai
Adhoora ho jo, shaayad ishq wahi hai

Pre chorus-
Pukaaro toh, aajaungaa
Aakhir tumhi se Hun banaa
Main rahun na yahan, toh na ghabrana, Dil ke panno par, zikr Tera sada

Outro-
Noori, bass guzarish h yeh
Piharwa mere, karde azaad mujhe

( Manas Taneja )
www.ChordsAZ.com

TAGS :