Song: Pehla Khoon
Artist:  Sikka
Year: 2021
Viewed: 31 - Published at: a year ago

Tere jaise 36 aaye woh same soch lekar (lekar)
Mera kya ukharoge meri aakar nahi faker
Bahut koshish kiya todne ka tune mujhko
Lekin main jab phata tera band baja bro (bro)

Saal saal saalon mein har din har raat
Mere baare bakwas ki without koi baat
Lekin meri jab satak gayi mere ek reply ne
Tere andhar se saans nikaal di na (chal)

Phir samajh mein aaya yeh pagal hai bro
Iska toh badal na nai kuch toh phir sun
Bhai tujhe peeth se baat karni hai toh kar
Lekin ek baat yaad rakh main kisi se nahi darta

Abhe tune kya socha tha mera phatega
Budhu mera ek phookh teri halla macha dega (aur machaya bhi ae)
Bahut torture kiya saal saal saalon mein bro
Abh bolne ka waqt hai mera chup karke sunlo (haan)

Kya socha main chup rahunga
Abh sunle meri baat
Nahi khatam nahi hui baat
Beta main chaalu jaise tu saari raat
Saari raat bakwaas kare tu
Ghanta na kare par sabh lai tu
Mera naam mitane ki koshish kiya tu
Koshish fail abh aag mein sar tu

Kya bola tu samajh nahi aaya
Dekho saare Mr. Jhooth hai aaya
I do it for myself you just do it for the maya
Your cap rate is higher than the Himalayas

Pehla khoon kiya maine par maarna nahi tujhe
Teri zindagi ka shaitan kaun bhagwaan ne chuna mujhe
Karma hits back aur abh yeh dasegi tujhe
Zehreela toh mujhe kar diya abh kaatunga main tujhe

( Sikka )
www.ChordsAZ.com

TAGS :