Song: Poem Freestyle
Year: 2021
Viewed: 51 - Published at: 7 years ago

Verse 1 (Yash):

Dimaag aur dil ye saath chal sakte kya?
Phir se ek baar ham baat kar sakte kya?
Dekhi doobi kashtiyan aur tooti bastiyan
Jal gaye ansu mein, (ab) aag ban sakte na
Behtar hi jeet ta, baat boht purani
Paisa hai izzat, dar maut aur gulaami
Maut pe do lafz main aaj kehna chahta
Maut mujhe pyaari par na behna chahta
Iss paani mein, maut to ek din aani hai
Jag hoga khatm, poora jag hi kahaani hai
Log karte khud se mazaak har din
Sochi na manzil jo unhe paani hai
Behisaab pyaar maine dekha uski aankhon mein
Dekha uska jhooth apni khudki aankhon se
Lagta sab hai jhooth meri khudki saanson mein
Mil jaaye insaan kaash beech in laashon ke
Ye baatein mehez baatein hain
Maine bola koi sach ya koi jhooth nahi
Dost aate aur jaatein hai
Khud ko maan apna chal rooth nahi


Hook:
This life ain't nothing, this is poem
I looked around and found this (lifе) ain't home

This life ain't nothing, this is poem
I lookеd around and found this (life) ain't home



Verse 2 (KM):
Dekh rha mai raah, kab aayega sahi waqth
Khilenge kab baag ye, khushi aayegi ye kab?
Hoga kab ujaala, ab iss raat mein kuch khaas naa
Kyu aandhi ye thami nai jab sab hua naash ab?
Dekhi naa hai duniya aur chahta bhi nahi
Dekhna wo lok jahaan dhuwaan har taraf
Theek apni jagah, mai inn pannon ke saath
Naa Chahta unse milna, baandhe sar par ek kafan
Jab ye aasmaan khula fir kyu soch itni neech?
Fal chahte sabhi, fir kyu boye naa ye beej?
Raatein gayein khayaalon mein, aati naa neend
"Kyu log apni galti se lete naa seekh?"
Ambar wo neela, rakhe sabki duwaayein
Rkhta wo aansu jo insaan bahaaye
Par rakth bahaa itna, ab sab kuch hi laal
Waqth ab naa bacha, fir hum prithvi sajaaye

( Rap Like Yash )
www.ChordsAZ.com

TAGS :