Song: ZEHAR
Artist:  Talha Yunus
Year: 2021
Viewed: 67 - Published at: 6 years ago

Verse 1 - Talhah Yunus

Mai dunya se bekhabar, jo kehna tha, kehna de
Ansu ye behne de
Yaar bolen de khabar, bol khol den, hum jaan bhi de dengay tere kehne pe
Waqt bura na ho besabar, mere lafz tujhpe qarz, Ye dard mujhe sehne de
Nai lagaya maine zer zabar, mera darr mera rabb, mera sab wuhi rehne de
Apno se duur hu mai
Tere andar ka ghuroor hu maii
Betha mai dhaabay pе, adat hai, saadat hi saadat
Woh kehte mashoor hu mai
Hassta mai in pe
Nai likhi dastaaan, baatеn rakhen dil mai
Dekhi hain bari filmen, shaamil nai hota in mai
Yahan kalakari jurm hai, ye hunr mera ilm hai
Zaalimon k liye zulm ye, kholunga in ke sarr mai
Nasha jo meri skill mai, woh nasha nai hai pill mai
Nikalta nai mai din mai, log ajatay hain milnay
Nai dekhi maine kirnen, ye phool phir bhi khilnay
Bae khof, lagay darrr nahi
Still reppin G side, lagay koi parr nahi
Coming from the streets ay, chora apna ghar nai
Humble taakay seekh payen, sarr pe mere charr nai
Underground pe raaj mainstream walay darte hain
Sitaaron ki tarah raaton mai ubharte
Najanay kitne saanp mere aasteen mai palte
Seedhi laga ke hum dil mai utar te hain
Hook:

Woh doobay tou hum ko bachaane de
Kia dhunden woh larrtay kinaaray se
Har ghoont pe hum logon ko taanay den
In lafzon mai zehr milaaanay de
Ruswa hu mai is zamane se
Ye kaghaz qalam ko bahane de
Is kashti ko koi tou kinaaray de
Woh doobay tou hum ko bachane de

Verse 2 - JJ47

Charo taraf machi khal bali
Inhey laga kahani meri sirf hai dard bhari
Hasil mujhe bar tari! Honey lagi hard badi
Khud ki kamai pheni ghari Burberry
Han Abhi Mashoor Nahi, Lakin chali luck bari
Akey mere pair pari! Zindagi thi zehr bhari
Sekhey hum gir k chahi sbki kher bari
Gehrey samandar hum le kr chale lehar bari
Lakin! Ham mardey mujahid hain hiphop Taraney Aur is pe hum lazim hain
To chaurey main ghumey tu krta hai claim!
Tu Kaunsa Nazim hai
Haam mil baant khatey hain
Sb ko btatey hain apney sey wadey hain
Waqat aesay katey hain, ab logo sath gatey hain
Jo lartay hain barh kr woh kismat banatey hain!
Sun Zara!
Ab krna relax Kya!
T sath gano pe to is sey bara flex Kya!
Main Khud sey pucho next Kya
Ab itni kamai! Socho bharu itna Tax Kya
Tu nechey tu khali tu ghabri tu jali tu agey pechey ghumta reh!
Main murshid! Main Peer tu kamzoor Haqeer tu hath mere chumta reh aur...
Hook:

Woh doobay tou hum ko bachaane de
Kia dhunden woh larrtay kinaaray se
Har ghoont pe hum logon ko taanay den
In lafzon mai zehr milaaanay de
Ruswa hu mai is zamane se
Ye kaghaz qalam ko bahane de
Is kashti ko koi tou kinaaray de
Woh doobay tou hum ko bachane de

Verse 3 - Nabeel Akbar

Kahan nikal chuka khud ki talash mein
Atay khayal khud ko rokleta kaash mein
Karke tamaashay deraha dil ko dilaasay
Jabke jaanta hun khud ko mein achi taraah se
Kese hatjaata peeche mein apni jagaah se
Kese chordeta jeeta mein jiski waja se
Hojaye chahay puri dunya khilaaf
Mein nai aanay waala baaz mjhe apna pata he
Akela raat 4 bje, zehn mein sawaal bharay
Ghum raha darbadar wehm dil pe waar karay
Zehr se alfaaz bharay kese kuch izhaar karein
Toot k gaya bhikar or kitna intizaar karein
Raat puri karta raha bus awaargi
Kaafi buri aadatein hein tere yaar ki
Yari ya dushmani me dekhta hun kuch bhi nai mein
Desakta hun jaan tw mein lene ko tayyaar bhi
Seedha saadha mgr andar kafi jhol hai
Mara jaye usse pehle aankhein khol le
Khud k qusoor daale dusre pe kiun
Dunya gol hai mashoori ka bhi mol hai
Nhi paray farq koi jitna marzi hate kare
Chaahnay walay beqarar mera wait kare
Shukarguzaar rab ne rehmat se nawaza mjhe
Mein kalakaar meri kalla mera pait bharey
Khanabadosh khoraha hosh, khali qalam mera dost
Sarphira or sarfarosh,karraha music murder roz
Hamein pasand karrahay log, machay jalan tjhe boht
A dekhein kismein kitna josh, ab kiun khara tu khamosh
Hook:

Woh doobay tou hum ko bachaane de
Kia dhunden woh larrtay kinaaray se
Har ghoont pe hum logon ko taanay den
In lafzon mai zehr milaaanay de
Ruswa hu mai is zamane se
Ye kaghaz qalam ko bahane de
Is kashti ko koi tou kinaaray de
Woh doobay tou hum ko bachane de

( Talha Yunus )
www.ChordsAZ.com

TAGS :