Song: Jail - 100 Fiction Bars
Artist:  Knight Mayor
Year: 2021
Viewed: 42 - Published at: 9 years ago

[INTRO]

Garde aur dhool mein jo beeta thaa bachpan
Tab aatma bekhauf, naa thaa kisi ka bhi darr
Kal se iss aaj tak jab badla ye waqth
Tab badli lakeerein aur phooti kismat

Dekha maine sab, pichle kayi saal mein
Har naya din laaye naye haadse
Jisne kiye waadein naa ab wo saath hain
Puchun mai khuda se "kaise inteqaam yeh?"

Thaa mai samarth par naa thi samajh
Apne chahne waalon ki, ki naa qadar
Samay ka pahiya tab badla ye zor se
Par girna abhi aanki thaa aur lena thaa sabak

Kahaani nai, bayaan karu mai ateet
Ki ni gaddaari par naseeb mein naa jeet
Aaj mai yahaan, sochun hoga kya soch ke?
Par dil ke chotte kone mein abbhi basi ummeed
6 ka thaa mai jab dikhi aakhri baar dhoop
Huwa suryaast jab pita gaye door
Uss din se aaj tak yeh suraj kabhi uga nai
Aur jabbhi chale hawa, uske saath ude dhool

Ab iss dhool mein naa taazgi, bass hai udaasi
Baarish ki boondein naa lagti suhaani
Badle yeh mausam par toote ab bhi aainein
Ulje abbhi dor jo ki mujhko hain suljhaaneen

Mujhko aabhaas naa ki kal hoga kya?
Laakhon tukde dil ke aayi agli jab subah
Andhe ki ladki ab huyi chaknaachoor
Meri aankhein jab khuli, naa mili meri maa

Dhunda har disha mein, laga unka naa pata
Poochaa sabse par unhe koi naa janta
Inn aankhon ke dariyon ki seemaa ye toot gayi
Iss beghairat duniya mein naa koi saath rha

Baarish thami nai, ab aandhi bhi saath
Toota jab ye dil, kaise sakth rahe imaan?
Inn aakhon k saamne ab bass dikhe dhund
Aur baadalon se bhara, upar faila aasmaan

Aankhein meri 2 thi jo ki ab gaye foot
Seeshe ka ye dil thaa, gaya pal bhar mein yeh toot
Jo the mere apne, unko khuda ne kyun cheen liya
Aur hogi kab subah? Kab khilegi yeh dhoop
Kaise bhatku raastein jab saare hi anjaan?
Chale bass yeh saansein par mai raha naa zinda
Har ek boond mere aansu ki khud mein kahaani
Par sune inhein kaun? koi mera naa saga

Kaale jo yeh baadal ab lage mere bhai
Jab bhi barse yeh, dikhe khud ki parchaayi
Naa rukegi yeh baarish kabhi dikhegi naa dhoop
Chahiye naa wo raunak jisne sachhai chupaayi

Khaayi dar dar ki thokarein tab aaj main yahaaan
Kisi tarah beete saal, khudka rakha maine dhyaan
Sar se gayi jab chatt, tab mai aandhi se lada
Zaroor li hai seekh chaahe huwa mai paraast

Kal jab lagbhag dooba mai tab aaya 1 khayaal
Daldal khud banaya to khud ko kheechunga bahaar
Inn saalon ki jo seekh hai woh ab aani hai kaam
Itne saal baad nikla inn uljhan k bahaar

Bhari saari chotein aur patti utar gayi
Chhoda sabko peeche aur cheezein ubhar gayien
Intezaar naa ab suraj ka, jalaaye khud mashaal
Uss samay ka izhaar naa hi kisi se shiqwa

Waqth ki ye baat khaas, badle roz chaal dhaal
Girke utha laakh baar, kabhi maani haar naa
Dekhu ab mai saamne, apne kal ko jaanke
Chale gaye jo saath the, unhein rehna nhi tha saath mein
It was all smooth jab aaya ek speed-breaker
1 jaani maani aaurat jab aayi police lekar
"He's the real culprit" she yelled from a distance
And i was handcuffed for literally no mistake

I was inquired and tortured to hell
As far as i remember, they asked 'bout a death
Kuch der baad, yeh death bana murder
Naa bol paaya kuch, then i met myself in jail

"why was i here?" mai thaa pura clueless
I couldn't understand anything the cop said
The shock hit me hard, I was left breathless
Couldn't figure out, why was my life baseless?

Saw the cops talkin' to the same lady again
She sounded familiar, i could recognize her face
"Is she my mom?" i asked myself
Had a doubt for a second for the wealth she possessed

She was talking to the cops, maine suni unki baat
Aankhein meri khuli haath lage jab raaz
Wo thi nhi meri maa, mere pita ki thi wife
Hui unki hatya, jisme iska hi thaa haath

Meri maa chal basi jab umar meri 3
Kaanoon ka tha khauf, tab ye aurat bhaagi thi
Tola apne pariwaar ko swaarth ke taraazu par
Bacha naa ab kuch, naa hi unki tasweer

Kuch minute door jab samjha mai sab
Meri maa jab rahi nhi, nayi maa aayi ghar
Naa dahej liya pita ne bass chahiye unhe saath
Par jisko thaa laya use paison ki thi pyaas

Pyaas ko bujhaane ke liye kiya usne qatal
Huwa lobh uska shaant, dekh ke khoon pita ka
Jisne bachpan ujaada, kiya jeena haraam
Yahi hai wo raaz jo mujhse chipa thaa

Ilzaam mujhpe jhoota, ye sab reshwat ka khel
Swaarth ke liye jaan lein, yeh "apne" hi hain
Haath nahi kaanpte jab aankhon pe patti
Paison ke peeche de khud ko hi bech

( Knight Mayor )
www.ChordsAZ.com

TAGS :