Song: Kyu Karu Fight
Artist:  Rv Vegeta
Year: 2021
Viewed: 62 - Published at: 2 years ago

[Intro]
Mai kyun karun fights
Mai kyun karun fight
Mai kyun karun fights
Mai kyun karun fight

[Verse 1]
Mai kyun karun fight
Mera bhidne ka mann ni
Kyun rahun high mera girne ka mann ni
Kyun karun raada mera mattha jab garam ni

Kyun nachun sala tere gaane me dum ni hai
Jism mile bohot mujhe mili na hai rooh kabhi
Kalam na hai bewafa kyun ki wo saali tu nahi
Dhoond nahi tujhe me milunga ab kabhi nahi

Naam tera zubaan pe hai dil me teri jagah nahi

[Chorus]
Tum saath mere
Lekin khud ke mai khilaaf hun
Jo sapna uska hai wahi hai mera khwaab kyun
Mai jee raha hoon thik thaak tere bina fir bhi
Zindagi ko zindagi se hai uski hi aarzoo
[Verse 2]
Mai toota bhi hun, Bikhra bhi hun, Usko parwah nahi hai
Gusse ko piya aansu roke mujhko ladna nahi hai
Kutti hai duniya ye daraye par ab darna nahi hai
Jhukoon mai inke aage kyun ye saale dargah nahi mai

Kaam karun daily gaane likhe maine saare sach
Bojh zindagi ka gharwale hai sambhale sab
Haalat mere down but hustle hamesha rehta
Ab Chhote khud ke sar pe ab maine zimmedariyan uthayi

Jab saath nahi tha koi
Maine akele hi cheer diya
Rap me naya aaya or rap ko ni mai feel diya
Paani maanga toh jheel diya
Dhoodh maanga toh kheer diya

Jitne bhi bhaunke aage sabke hoto ko mai seel diya
Eklavya nahi par maine kaam saare kiye wahi
Net se mai sikha internet pe maine chile kahi
Zakham mere dil pe jinko aaj bhi mai noch
Gumman mai dooba sakhs khud ko mai khoj raha

Dhoond lunga khud ko mai
Jab khud se hi sawaal honge
Seene me ghusenge verse haan beat pe sawar hoke
Dheet hai iraade kyun ki jeet hai nishane pe
Ab launde mujhse bole bhaiya lado hum sab saath honge

[Bridge]
Tum saath mere, Lekin khud ke mai khilaf hun yar
Kya karun?
Nahi hai ladne ka mann
Nahi hai kisi se bhidne ka mann
Huh

[Chorus]
Tum saath mere
Lekin khud ke mai khilaaf hun
Jo sapna uska hai wahi hai mera khwaab kyun
Mai jee raha hoon thik thaak tere bina fir bhi
Zindagi ko zindagi se hai uski hi aarzoo

Tum saath mere
Lekin khud ke mai khilaaf hun
Jo sapna uska hai wahi hai mera khwaab kyun
Mai jee raha hoon thik thaak tere bina fir bhi
Zindagi ko zindagi se hai uski hi aarzoo

[Outro]
Jitno ne bhi aaj tak mere ko support kiya hai
Mere gaane sune unko bhut bhut thank you
Rv vegeta, Signing off

( Rv Vegeta )
www.ChordsAZ.com

TAGS :