Song: Adam Aur Eve
Artist:  Pardhaan
Year: 2017
Viewed: 74 - Published at: 9 years ago

[Verse 1]
Sochne ki baat hai
Mera vartmaan kya hai
Parchieya pardhaan mera asli naam
Kya hai

Madad karun ya mangu
Asmanjas mein hoon
Samajhdari mere liye y
Ye kaam naya hai

Phir bhi ab yahi karunga
Chhod ke laaparwahi
Ye neend bigaad deti
Sab kuch kha-makha hi

Maine toh haan mein haan hi
Milayi thi sab ki
Lekin mere apno ne hi di
Mere khilaaf gawahi
Mukadma tha har kisi ka saath dene ka
Samman mein kami nahi
Beshak ho dusre kheme ka
Jinko-jinko maine ache samay se milaya

Aaj unke paas nahi waqt mujhe dene ka
Mamuli main par har koi mere liye khaas hai
Abhi bhi mujhe vishvas par vishvas hai

Nafratn ko nazar andaz karke
Poori duniya se dhakke kha ke
Pohncha tеre paas hai

[Chorus]
Adam or Eve ki tarah mujhe bhi phal dе
Jab bhi sochun rukne ka
Mere kadam khud-ba-khud chalde

Adam or Eve ki tarah mujhe bhi phal de
Jab bhi sochun rukne ka
Mere kadam khud-ba-khud chalde

[Verse 2]
Dimaah jam chuka
Zubaan jali padi
Diary anginat radhi mein hai padi
Hadbarhi mein ye sab
Likh raha hoon beshak
Meri mehnat se meri qismat ladi padi
Lekin samjhauta karana mera farz hai
Gale milna ilaaz chahe

Jaisa bhi marz hai
Sur mile mera tumhara
Maafi maang lo ya kardo maaf
Kya harz hai

Itni galat-fehmiya le jaoge tum kahan tum
Ye duniya choti si tum mujhko paoge
Har jagah tum

Par kaise bhala tum mujhse bhale banoge
Usko chori kehte jisko
Samajhte ho kala tum
Chalo chhodo chugalkhoron ki baat ko

Aaj nahi to kal sudhar jayenge halaat toh
Par aapko saath dena hoga
Har pal khud aana hoga
Bhejna na kisi saanp ko

[Chorus]
Adam aur Eve ki tarah mujhe bhi phal de
Jab bhi sochun rukne ka
Mere kadam khud-ba-khud chalde
Adam aur Eve ki tarah mujhe bhi phal de
Jab bhi sochun rukne ka
Mere kadam khud-ba-khud chalde

Adam aur Eve ki tarah mujhe bhi phal de
Jab bhi sochun rukne ka
Mere kadam khud-ba-khud chalde

( Pardhaan )
www.ChordsAZ.com

TAGS :